Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2016

Shayari part II

Aaj raat ke andhere mein; kuch khwaab shor karthy hain, chahty hain; kalam se kagaz pe maktoob hojana, kambakt khamakha meri neend kharab karthy hain. Tanhai mein bhi aadat nahi hain; ab akelepan ki, khwaab aur kwahishe shor karti hain,fursat nahi hain, kabhi miljaun agar khud se toh puchenge, chal toh rahe hain rasthy pe, ja toh rahe hain aapni manzil tak, par tumhari chahat nahi hain, kyu chod ke chal diye; unhe jine chinta thi, kyu parayo mein ab humsafar dundthy ho, chalna hi agar zindagi hain toh sapne kyu hain, yaade kyu hain, khuda neh tootne ke liye toh nahi banaya hoga yeh dil, hum janthy hain khuda aisi galtiya nahi kartha, ab taswiro mhe dhundhty ho unhe jo zinda thy, kaash kuch aur waqt bita liya hota, aaj likhna toh main bhi chahata hoon mohabbat ke sher, par kya karu shabh hi nahi hain, kuch sikha hain agar galib se toh yeh, chahe duniya samjhe ya na samjhe, likhna toh hain.